Mere ghar mein jab bhi achanak mehman aa jayein ya kuch chatpata aur jaldi banne wala khane ka dil kare, toh sabse pehle authentic restaurant style Chicken Karahi recipe hi banti hai. Iska salan bohat bhuna hua aur masalaydaar hota hai jo garam garam naan, taftan ya khameeri roti ke sath bohat mazedaar lagta hai. Sabse achi baat yeh hai ke ismein bohat zyada complex ingredients ki zaroorat nahi parti, balkay yeh ghar ke hi masalon se aasaani se taiyar ho jati hai.
Agar aap bhi Lahore ya Karachi ke mashhoor restaurant jaisa zaiqa apne ghar par chahte hain, toh yeh recipe aapke liye bilkul perfect hai. Aaiye dekhte hain ke yeh lazeez aur authentic restaurent style Chicken Karahi recipe kaise banai jati hai.
Chicken Karahi Recipe: Ingredients
Ek authentic restaurent style Chicken Karahi recipe banane ke liye aapko darj zail ajza ki zaroorat hogi:
- Chicken: 1 kg (achi tarah dho liya hua, haddiyon ke sath)
- Tamatar: 6-7 adad (darmiyanay size ke, beech mein se aadhe kate hue)
- Adrak Lehsan ka Paste: 2 baray chamach
- Hari Mirchein: 5-6 adad (choti ya lambi kati hui)
- Lal Mirch Powder: 1 chota chamach (ya hasbe zaiqa)
- Kuti hui Lal Mirch (Chili Flakes): 1 chota chamach
- Haldi: Aadha chota chamach
- Pesa hua Dhaniya: 1 bara chamach
- Zeera Powder: 1 chota chamach
- Namak: Hasbe zaiqa
- Cooking Oil ya Ghee: ¾ cup (karahi mein oil thoda khula acha lagta hai)
- Dahi: ½ cup (achi tarah phenta hua)
- Kasuri Methi (Optional): 1 chota chamach (khushboo ke liye)
- Hari Dhania aur Adrak: Garnish ke liye (barik kati hui)
Chicken Karahi Recipe Tarkeeb
Is tarkeb ko qadam ba qadam follow karke aap ek lajawab aur authentic restaurant style chicken karahi recipe taiyar kar sakte hain:
1. Chicken ko Fry Karna:
Sabse pehle ek karahi (preferably lohe ya mitti ki karahi) mein oil ya ghee garam kar lein. Jab oil achi tarah garam ho jaye toh ismein chicken daal dein. Chicken ko tez aanch par tab tak pakayein jab tak chicken ka rang pink se white na ho jaye aur iska pani khushk hone lage (is mein kam az kam 5 se 7 minute lagenge).
2. Adrak Lehsan ka Istemaal:
Ab isme adrak aur lehsan ka paste shamil karein. Isay mazeed 3 se 4 minute tak achi tarah bhoonein taake chicken ki apni mehak ya kachapan khatam ho jaye aur adrak-lehsan ki bhini bhini khushboo aane lage. Is stage par authentic restaurant style chicken karahi recipe ka asal maza nikal kar aata hai, jis ki tareef aap ki family aur friends karte nahi thakenge.

3. Tamatar ka Jadoo aur Dam:
Ab kate hue tamatar chicken ke upar rakh dein, is tarah ke unka chhilka upar ki taraf ho. Karahi ko 5 se 7 minute ke liye kisi dhakkan se dhaak dein aur aanch halki kardein taake tamatar apne hi pani mein naram ho jayein.
4. Chhilkay Utarna aur Masalay Milana:
Jab 7 minute baad aap dhakkan hatayenge toh dekhenge ke tamatar naram ho chuke hain. Ab chimte (tongs) ki madad se tamatar ke chhilkay utaar kar bahar nikal lein. Iske baad ek chamche ya ghontnay ki madad se tamatar ko achi tarah masal kar chicken karahi mein mix kar lein.
5. Masalay aur Dahi ka Shamil Karna:
Ab ismein lal mirch powder, kuti hui lal mirch, haldi, pesa hua dhaniya, zeera powder aur namak shamil kar dein. Saath hi fheta hua dahi bhi daal dein. Aanch ko taiz kardein aur masala itna bhunein ke oil alag ho jaye aur masala daane daar ban jaye. Dahi dalne ke baad musalsal chamcha chalate rahein taake dahi phate nahi.
6. Aakhri Marhala aur Garnish:
Jab karahi ka oil bilkul upar aa jaye aur masala achi tarah bhun jaye, toh upar se hari mirchein, barik kati hui adrak aur fresh hara dhaniya chirak dein. Agar aapko pasand ho toh is marhalay par halki si Kasuri Methi bhi haathon se masal kar daal sakte hain.
Garam garam aur masalaydaar Chicken Karahi Recipe taiyar hai!
Chicken Karahi Recipe Pro Kitchen Tips (Behtareen Zaiqay ke Raaz):
- Lohe ki Karahi: Restaurant jaisa asli zaiqa laane ke liye koshish karein ke karahi ko non-stick ki bajaye lohe ki karahi (iron wok) mein banayein. Isse chicken karahi Recipe ka taste bilkul badal jata hai.
- Tamatar ka Intikhab: Tamatar jitne fresh, laal aur juicy honge,Chicken karahi ka masala utna hi behtareen aur khubsurat taiyar hoga. Is recipe mein pani ka alag se istemaal nahi hota, saara salan tamatar aur dahi ke pani mein hi pakta hai.
- Bhunai: Karahi ki asal jaan uski bhunai hai. Masalay jitni achi tarah bhune hue honge, zaiqa utna hi shandar aayega.
Frequently Asked Questions (FAQs):
Q1: Kya is karahi mein pyaz (onion) ka istemaal hota hai?
Jawab: Asli restaurant style Chicken Karahi mein pyaz ka istemaal nahi hota. Iska masala sirf tamatar, adrak-lehsan aur dahi ki base par banaya jata hai taake yeh bhuna hua aur khass zaiqa de sake.
Q2: Agar dahi na ho toh kya hum sirf tamatar se karahi bana sakte hain?
Jawab: G haan, aap sirf tamatar ki miqdaar thori barha kar dahi ke baghair bhi yeh karahi bana sakte hain, lekin dahi dalne se gravy mein aik creamy aur rich texture aa jata hai.
Q3: Is karahi ke sath sab se behtareen kya lagta hai?
Jawab: Yeh Chicken Karahi tandoori naan, taftan, roghni naan ya khameeri roti ke sath sab se zyada lazeez lagti hai. Iske sath pudine ki chatni aur salad ka intikhab khane ka maza dobala kar deta hai.
Mazeed Pakistani aur desi recipes k liye aap Food Network ki website bhi dekh skti hain.